"ॐ तत्पुरुषाय विद्ध्महे महादेवाय धिमाही तन्नो रूद्र: प्रचोदयात!!!"

Ek Din wo Bhole Bhandari

Ek Din wo Bhole Bhandari Ban ke Brij ki Nari Brij Me aa gaye
Parvati bhi manaa ke hari naa mane Tripurari Brij me aa Gaye

Parvati se bole me bhi chalunga tere sang me
Radha sangh Shyam nache me bhi nachunga tere sang me
Raas rachega brij me bhari hame dikhado pyari 

Oo mere bhole swami, Kaise le jau aapne sang me
Shyam ke siva vaha purush na jaay us raas me
Hansi karegi brij ki nari mano baat hamari

Aisa bana do mohe koi na jane is raaj ko
Mai hu saheli teri aisa batana brij raj ko
Bana ke juda pahan ke sadi Chal Chale Matwali

Hans ke sati ke kaha balihari jau is rup me
Ek din tumhare liye aaye murari is rup me
Mohini rup banaya murari aab hain tumhari bari

Dekha Mohan ne samajh gaye wo sari baat re
Esi bajai Banshi sudh budh bhule Bholenath re
Sir se Khisak gayi jab sadi muskaye Girdhari

Dindayal Tera tab se Gopeshwar hua naam re
Oo bhole baba tera vrindavan bana dham re
Bhakt kahe oo tripurari rakho laaj hamari

Ek Din wo Bhole Bhandari Ban ke Brij ki Nari Brij Me aa gaye
Parvati bhi manaa ke hari naa mane Tripurari Brij me aa Gaye
***********************************************************

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...